bas ek sawal pe jina muhaal hai mera
bas ik savāl pe jiinā muhāl hai merā
savāl kyoñ na karūñ ye savāl hai merā
kuchh is liye bhī har ik se merī nahīñ bantī
zamīr zinda hai aur ḳhuun laal hai merā
maiñ tujh ko chhū ke bahut duur ho gayā tujh se
ki ye uruuj se kaisā zavāl hai merā
malāl ye nahīñ mujh ko tū merī ho na sakī
maiñ terā ho na sakā ye malāl hai merā
ye rang ruup ye yauvan tumhāre haiñ lekin
ye shoḳhiyāñ ye adā.eñ kamāl hai merā
bas ek sawal pe jina muhaal hai mera
sawal kyon na karun ye sawal hai mera
kuchh is liye bhi har ek se meri nahin banti
zamir zinda hai aur KHun lal hai mera
main tujh ko chhu ke bahut dur ho gaya tujh se
ki ye uruj se kaisa zawal hai mera
malal ye nahin mujh ko tu meri ho na saki
main tera ho na saka ye malal hai mera
ye rang rup ye yauwan tumhaare hain lekin
ye shoKHiyan ye adaen kamal hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.