bas ek zara KHayal hamein dosti ka hai
bas ik zarā ḳhayāl hameñ dostī kā hai
varna bahut malāl tirī be-ruḳhī kā hai
tū bhī hai zindagī meñ kahīñ hai mujhe yaqīn
yā ye bhī ehtimāl mirī sādgī kā hai
hai aaj jism-o-jāñ pe tirī yaad kī thakan
ik ḳhauf mere dil ko kisī an-kahī kā hai
vāqif huuñ tere dard se lekin mire habīb
ab to ye mas.ala bhī mirī zindagī kā hai
lab haiñ ḳhamosh zabt se lekin ye mas.ala
āñkhoñ meñ terī yaad se phailī namī kā hai
rishtoñ ke darmiyān bahut mutma.in huuñ maiñ
is zindagī meñ dard to terī kamī kā hai
ye din ye shab ye phuul se mausam tire baġhair
kaise guzar rahe haiñ gila bas isī kā hai
bas ek zara KHayal hamein dosti ka hai
warna bahut malal teri be-ruKHi ka hai
tu bhi hai zindagi mein kahin hai mujhe yaqin
ya ye bhi ehtimal meri sadgi ka hai
hai aaj jism-o-jaan pe teri yaad ki thakan
ek KHauf mere dil ko kisi an-kahi ka hai
waqif hun tere dard se lekin mere habib
ab to ye masala bhi meri zindagi ka hai
lab hain KHamosh zabt se lekin ye masala
aankhon mein teri yaad se phaili nami ka hai
rishton ke darmiyan bahut mutmain hun main
is zindagi mein dard to teri kami ka hai
ye din ye shab ye phul se mausam tere baghair
kaise guzar rahe hain gila bas isi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.