bas isi fikr mein guzri sahar-o-sham tamam
bas isī fikr meñ guzrī sahar-o-shām tamām
ho na jaa.e dil-e-nā-kām tirā kaam tamām
lab pe aate hī badal jaate haiñ phir rang-o-ras
apsarā huur kalī phuul tire naam tamām
zaḳhm betāb haiñ phir aaj hare hone ko
mere paimāne meñ hai gardish-e-ayyām tamām
mujh ko Dar hai ki kahīñ maġhribī but-ḳhāne meñ
jhuk na jaa.e nigah-e-ālam-e-islām tamām
tū ne kis kis ko ye dīvāna banā rakkhā hai
tere kūche meñ dikhe shahr ke badnām tamām
ik tire naam ko palkoñ pe biThāne ke sabab
merī nazroñ se gire haiñ tire hamnām tamām
dekh tūfān-e-gul-afshāñ kī fazā dekh 'zuhaib'
jis kī aamad se khule haiñ lab-e-gulfām tamām
bas isi fikr mein guzri sahar-o-sham tamam
ho na jae dil-e-na-kaam tera kaam tamam
lab pe aate hi badal jate hain phir rang-o-ras
apsara hur kali phul tere nam tamam
zaKHm betab hain phir aaj hare hone ko
mere paimane mein hai gardish-e-ayyam tamam
mujh ko Dar hai ki kahin maghribi but-KHane mein
jhuk na jae nigah-e-alam-e-islam tamam
tu ne kis kis ko ye diwana bana rakkha hai
tere kuche mein dikhe shahr ke badnam tamam
ek tere nam ko palkon pe biThane ke sabab
meri nazron se gire hain tere hamnam tamam
dekh tufan-e-gul-afshan ki faza dekh 'zuhaib'
jis ki aamad se khule hain lab-e-gulfam tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.