bas isi ka gham nahin hai dil hai diwana tera
bas isi ka gham nahin hai dil hai diwana tera
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
bas isī kā ġham nahīñ hai dil hai dīvāna tirā
banda-e-be-dām hai har-mast-o-farzāna tirā
maz.har-e-rang-e-haqīqat jab hai paimāna tirā
bā.is-e-sar-mastī-e-ālam hai mai-ḳhāna tirā
zikr kartī hai zabāñ aalam kī rozāna tirā
dil ne chup rah kar sunā āñkhoñ se afsāna tirā
gar yahī aalam rahā zauq-e-hijāb-e-husn kā
rāz-e-dil ifshā na kar de koī dīvāna tirā
mashrab-e-firdaus par tū bhī amal kar nāsehā
lā ḳhudā ke naam par bhar duuñ maiñ paimāna tirā
sāya-e-rahmat meñ ho jis kā jahān-e-ārzū
kyoñ valī kar de na us ko lutf-e-shāhāna tirā
dāstān-e-husn aur us kī numūd-e-dil-navāz
ḳhaak meñ mil kar bayāñ kartā hai parvāna tirā
'shād' saaqī kī nigāhoñ meñ raheñ har haal meñ
yuuñ gunahgāroñ ko hai mahbūb mai-ḳhāna tirā
bas isi ka gham nahin hai dil hai diwana tera
banda-e-be-dam hai har-mast-o-farzana tera
mazhar-e-rang-e-haqiqat jab hai paimana tera
bais-e-sar-masti-e-alam hai mai-KHana tera
zikr karti hai zaban aalam ki rozana tera
dil ne chup rah kar suna aankhon se afsana tera
gar yahi aalam raha zauq-e-hijab-e-husn ka
raaz-e-dil ifsha na kar de koi diwana tera
mashrab-e-firdaus par tu bhi amal kar naseha
la KHuda ke nam par bhar dun main paimana tera
saya-e-rahmat mein ho jis ka jahan-e-arzu
kyon wali kar de na us ko lutf-e-shahana tera
dastan-e-husn aur us ki numud-e-dil-nawaz
KHak mein mil kar bayan karta hai parwana tera
'shad' saqi ki nigahon mein rahen har haal mein
yun gunahgaron ko hai mahbub mai-KHana tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.