bas itna hausla rakkha hua hai
bas itnā hausla rakkhā huā hai
tirā ġham jā-ba-jā rakkhā huā hai
sahar kī aas meñ dīvār-e-jāñ par
sulagtā sā diyā rakkhā huā hai
bas apnī zaat ko shahr-e-suḳhan meñ
hunar se āshnā rakkhā huā hai
ġham-e-duniyā ko rakkhā hai alaihada
tire ġham ko judā rakkhā huā hai
tirī ḳhvāhish tire ġham ke alāva
dil-e-muztar meñ kyā rakkhā huā hai
ki ham ne ibtidā-e-ishq ko bhī
misāl-e-intihā rakkhā huā hai
bas itna hausla rakkha hua hai
tera gham ja-ba-ja rakkha hua hai
sahar ki aas mein diwar-e-jaan par
sulagta sa diya rakkha hua hai
bas apni zat ko shahr-e-suKHan mein
hunar se aashna rakkha hua hai
gham-e-duniya ko rakkha hai alaihada
tere gham ko juda rakkha hua hai
teri KHwahish tere gham ke alawa
dil-e-muztar mein kya rakkha hua hai
ki hum ne ibtida-e-ishq ko bhi
misal-e-intiha rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.