bas itnā jāntī huuñ zindagī ko
kahāñ jiine diyā us ne kisī ko
mahak uThtā hai koī zaḳhm phir se
chaTakte dekhtī huuñ jab kalī ko
use maiñ chāñd kaise kah sakūñgī
tarastī huuñ maiñ jis kī chāñdnī ko
ta.ayyun mat karo tum zā.iqoñ kā
mujhe chakhne do apnī zindagī ko
nahīñ 'pinhāñ' ye shohrat kā vasīla
ibādat jāntī huuñ shā.irī ko
bas itna jaanti hun zindagi ko
kahan jine diya us ne kisi ko
mahak uThta hai koi zaKHm phir se
chaTakte dekhti hun jab kali ko
use main chand kaise kah sakungi
tarasti hun main jis ki chandni ko
tayyun mat karo tum zaiqon ka
mujhe chakhne do apni zindagi ko
nahin 'pinhan' ye shohrat ka wasila
ibaadat jaanti hun shairi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.