bas itna wasta hai mera zindagi ke sath
bas itna wasta hai mera zindagi ke sath
Syed Akhtar Ali Akhtar
MORE BYSyed Akhtar Ali Akhtar
bas itnā vāsta hai mirā zindagī ke saath
jaise ki ajnabī ho koī ajnabī ke saath
ghabrā ke mujh se ai shab-e-hijrāñ judā na ho
hai terī zindagī bhī mirī zindagī ke saath
ab shauq-e-justujū hai na hai dard-e-ārzū
jiine ko jī rahā huuñ magar be-dilī ke saath
aaya huuñ mai-kade meñ baḌī tishnagī liye
saaqī pilā de aaj tū dariyā-dilī ke saath
'aḳhtar' ab un kī bazm kā ahvāl kyā kaheñ
begāna aadmī ho jahāñ aadmī ke saath
bas itna wasta hai mera zindagi ke sath
jaise ki ajnabi ho koi ajnabi ke sath
ghabra ke mujh se ai shab-e-hijran juda na ho
hai teri zindagi bhi meri zindagi ke sath
ab shauq-e-justuju hai na hai dard-e-arzu
jine ko ji raha hun magar be-dili ke sath
aaya hun mai-kade mein baDi tishnagi liye
saqi pila de aaj tu dariya-dili ke sath
'aKHtar' ab un ki bazm ka ahwal kya kahen
begana aadmi ho jahan aadmi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.