bas itni rah gai ahl-e-wafa ki dastan baqi
bas itnī rah ga.ī ahl-e-vafā kī dāstāñ baaqī
sar-e-mahshar bhī hai zikr-e-jabīn-o-āstāñ baaqī
rahegā āshiyāñ bhī gar rahegā gulsitāñ baaqī
ye zid ab to rahegī 'umr bhar ai bāġhbāñ baaqī
maiñ har naqsh-e-qadam par jhuum ke sajde meñ girtā huuñ
rahe kyoñ ehtirām-e-kūcha-e-pīr-e-muġhāñ baaqī
miTā sakte nahīñ hashr-o-qayāmat bhī ye do chīzeñ
mire sajde raheñge aur un kā āstāñ baaqī
nazar jalvoñ meñ gum hai aur jalve gum nigāhoñ meñ
nahīñ ab koī parda mere un ke darmiyāñ baaqī
na phūñk un ko ḳhudā ke vāste a barq rahne de
inhīñ do chaar tinkoñ se hai nām-e-āshiyāñ baaqī
diyā saaqī ne apne sar se sadqa kar ke paimāna
na jab koī rahā jām-e-sharāb-e-arġhavāñ baaqī
abhī hone ko hai jin se taqāzā-e-ajal paiham
kuchh aise din bhī haiñ minjumla-e-umr-e-ravāñ baaqī
dam-e-āḳhir vo aañsū bhī girā mizhgāñ se bistar par
jo apne dard-e-dil kā rah gayā thā rāz-dāñ baaqī
na mujh sā bhī koī ho ḳhānumāñ barbād duniyā meñ
ki mar jaane pe bhī haiñ saikḌoñ barbādiyāñ baaqī
dam-e-ruḳhsat bas itnī aarzū hai ai chaman vaalo
hamāre baa'd bhī rakhnā ḳhayāl-e-āshiyāñ baaqī
jabīn-e-shauq meñ aisā bhī ik betāb sajda hai
ki hai laġhzish se jis kī ābrū-e-āstāñ baaqī
bahār-e-lāla-o-gul ho ki ho rang-e-shafaq 'afqar'
raheñgī hashr tak ḳhūn-e-vafā kī surḳhiyāñ baaqī
bas itni rah gai ahl-e-wafa ki dastan baqi
sar-e-mahshar bhi hai zikr-e-jabin-o-astan baqi
rahega aashiyan bhi gar rahega gulsitan baqi
ye zid ab to rahegi 'umr bhar ai baghban baqi
main har naqsh-e-qadam par jhum ke sajde mein girta hun
rahe kyon ehtiram-e-kucha-e-pir-e-mughan baqi
miTa sakte nahin hashr-o-qayamat bhi ye do chizen
mere sajde rahenge aur un ka aastan baqi
nazar jalwon mein gum hai aur jalwe gum nigahon mein
nahin ab koi parda mere un ke darmiyan baqi
na phunk un ko KHuda ke waste a barq rahne de
inhin do chaar tinkon se hai nam-e-ashiyan baqi
diya saqi ne apne sar se sadqa kar ke paimana
na jab koi raha jam-e-sharab-e-arghawan baqi
abhi hone ko hai jin se taqaza-e-ajal paiham
kuchh aise din bhi hain minjumla-e-umr-e-rawan baqi
dam-e-aKHir wo aansu bhi gira mizhgan se bistar par
jo apne dard-e-dil ka rah gaya tha raaz-dan baqi
na mujh sa bhi koi ho KHanuman barbaad duniya mein
ki mar jaane pe bhi hain saikDon barbaadiyan baqi
dam-e-ruKHsat bas itni aarzu hai ai chaman walo
hamare ba'd bhi rakhna KHayal-e-ashiyan baqi
jabin-e-shauq mein aisa bhi ek betab sajda hai
ki hai laghzish se jis ki aabru-e-astan baqi
bahaar-e-lala-o-gul ho ki ho rang-e-shafaq 'afqar'
rahengi hashr tak KHun-e-wafa ki surKHiyan baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.