bas jibillat se hi lagta hun darinda jaise
bas jibillat se hī lagtā huuñ darinda jaise
rizq kartā huuñ ikaTThā maiñ parinda jaise
yuuñ to maiñ ek zamāne se thā murda yāram
tum ko dekhā hai to lagtā huuñ maiñ zinda jaise
tere kūche meñ liye aas khaḌā huuñ maiñ yuuñ
koī daftar meñ ho darḳhvāst-dahinda jaise
aise afsos liye dekh rahe haiñ saare
maiñ koī shahr huuñ barbād kuninda jaise
apne hisse kā ujālā to karūñgā im-shab
uḌtā phirtā huuñ 'nadīm' aaj ḳhazinda jaise
bas jibillat se hi lagta hun darinda jaise
rizq karta hun ikaTTha main parinda jaise
yun to main ek zamane se tha murda yaram
tum ko dekha hai to lagta hun main zinda jaise
tere kuche mein liye aas khaDa hun main yun
koi daftar mein ho darKHwast-dahinda jaise
aise afsos liye dekh rahe hain sare
main koi shahr hun barbaad kuninda jaise
apne hisse ka ujala to karunga im-shab
uDta phirta hun 'nadim' aaj KHazinda jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.