bas KHala se hi sadaen huin rad
bas ḳhalā se hī sadā.eñ huiiñ rad
is liye saarī duā.eñ huiiñ rad
ho ga.iiñ saarī kitābeñ raddī
ilm-o-dānish kī kathā.eñ huiiñ rad
vo jo phokaT meñ jiye aur mare
un ke jism aur chitāeñ huiiñ rad
mez par pesh huī jab darḳhvāst
habs daftar meñ havā.eñ huiiñ rad
shaam par shām-e-abad thī bhaa.ī
kitnī bahnoñ kī ridā.eñ huiiñ rad
ham ne jab tol ghaTāyā sāhab
apnī qismat kī ghaTā.eñ huiiñ rad
ishq meñ radd-o-badal thā mushkil
husn kī kitnī adā.eñ huiiñ rad
block hone ke the imkān bahut
ḳhat pahuñchte hī ḳhatā.eñ huiiñ rad
ḳhair kī ḳhair nahīñ thī 'asvad'
aur na badle meñ balā.eñ huiiñ rad
bas KHala se hi sadaen huin rad
is liye sari duaen huin rad
ho gain sari kitaben raddi
ilm-o-danish ki kathaen huin rad
wo jo phokaT mein jiye aur mare
un ke jism aur chitaen huin rad
mez par pesh hui jab darKHwast
habs daftar mein hawaen huin rad
sham par sham-e-abad thi bhai
kitni bahnon ki ridaen huin rad
hum ne jab tol ghaTaya sahab
apni qismat ki ghaTaen huin rad
ishq mein radd-o-badal tha mushkil
husn ki kitni adaen huin rad
block hone ke the imkan bahut
KHat pahunchte hi KHataen huin rad
KHair ki KHair nahin thi 'aswad'
aur na badle mein balaen huin rad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.