bas KHatron ki KHatir jaane jate hain
bas ḳhatroñ kī ḳhātir jaane jaate haiñ
jin rastoñ se ham dīvāne jaate haiñ
itnī shohrat kaafī hai jiine ke liye
un kī nazroñ meñ pahchāne jaate haiñ
himmat vaale hijr meñ kahte haiñ ġhazleñ
jo buzdil haiñ vo maiḳhāne jaate haiñ
roz bujhā dete haiñ ḳhud hī tiilī ko
roz tirī tasvīr jalāne jaate haiñ
un ko dekh ke puurī ġhazal ho jaatī hai
ham to bas ik sher sunāne jaate haiñ
bas KHatron ki KHatir jaane jate hain
jin raston se hum diwane jate hain
itni shohrat kafi hai jine ke liye
un ki nazron mein pahchane jate hain
himmat wale hijr mein kahte hain ghazlen
jo buzdil hain wo maiKHane jate hain
roz bujha dete hain KHud hi tili ko
roz teri taswir jalane jate hain
un ko dekh ke puri ghazal ho jati hai
hum to bas ek sher sunane jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.