bas KHayal aata hai apne ishq ki tashhir ka
bas ḳhayāl aatā hai apne ishq kī tash.hīr kā
varna duniyā dekhtī jalva dil-e-dil-gīr kā
bekasī karb-o-tanaffur Dhoñg hai tafkīr kā
merā honā ḳhud muḳhālif hai tirī tankīr kā
harkatoñ par hī agar hai barkatoñ kā inhisār
kyoñ tamāshā dekhte baiThe raheñ taqdīr kā
saañp ban kar loTtī haiñ ḳhvāhisheñ dil par mire
marsiya likhtā nahīñ maiñ sustī-e-tadbīr kā
dāvat-e-sad-aish idhar aur fitna-e-gesū udhar
us kī añgḌā.ī hai naqsha vādī-e-kashmīr kā
sail-e-ġham meñ hī sahī nikleñ to dil se hasrateñ
shukriya yādoñ kā is fan kā tirī tasvīr kā
tum ise dīvāngī samjho ki ab sāda-dilī
muntazir hai dil tumhārī hī nazar ke tiir kā
dil ke jis TukḌe ko dil se chāhtā thā 'sarfarāz'
ek dastāvez hai ab ġhair kī jāgīr kā
bas KHayal aata hai apne ishq ki tashhir ka
warna duniya dekhti jalwa dil-e-dil-gir ka
bekasi karb-o-tanaffur Dhong hai tafkir ka
mera hona KHud muKHalif hai teri tankir ka
harkaton par hi agar hai barkaton ka inhisar
kyon tamasha dekhte baiThe rahen taqdir ka
sanp ban kar loTti hain KHwahishen dil par mere
marsiya likhta nahin main susti-e-tadbir ka
dawat-e-sad-aish idhar aur fitna-e-gesu udhar
us ki angDai hai naqsha wadi-e-kashmir ka
sail-e-gham mein hi sahi niklen to dil se hasraten
shukriya yaadon ka is fan ka teri taswir ka
tum ise diwangi samjho ki ab sada-dili
muntazir hai dil tumhaari hi nazar ke tir ka
dil ke jis TukDe ko dil se chahta tha 'sarfaraaz'
ek dastawez hai ab ghair ki jagir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.