bas ki ek dar-ba-dari rahti hai
bas ki ik dar-ba-darī rahtī hai
ḳhud se hī dauḌ lagī rahtī hai
munjamid ham ko na jaano sāhab
andar ik aag lagī rahtī hai
kuchh tabī.at hī milī hai aisī
saath ik ġham-zadagī rahtī hai
bure āsār kī sar par goyā
koī talvār tanī rahtī hai
koī mausam ho mire parbat par
saal bhar barf jamī rahtī hai
do kināroñ kī tarah haiñ donoñ
darmiyāñ ek nadī rahtī hai
bas ki ek dar-ba-dari rahti hai
KHud se hi dauD lagi rahti hai
munjamid hum ko na jaano sahab
andar ek aag lagi rahti hai
kuchh tabiat hi mili hai aisi
sath ek gham-zadagi rahti hai
bure aasar ki sar par goya
koi talwar tani rahti hai
koi mausam ho mere parbat par
sal bhar barf jami rahti hai
do kinaron ki tarah hain donon
darmiyan ek nadi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.