bas mohabbat mein tera hijr kamaya hua hai
bas mohabbat meñ tirā hijr kamāyā huā hai
aur is hijr ko āñgan meñ ugāyā huā hai
tū jise dasht samajhtā hai ye ab dasht nahīñ
maiñ ne is dasht meñ ik shahr basāyā huā hai
ye jo ik raushnī pahlū se mire phūTtī hai
ye vahī zaḳhm hai jo tū ne lagāyā huā hai
aañkh sūraj se milāte hue katrātā huuñ
maiñ ne āñkhoñ meñ koī chāñd basāyā huā hai
rūThnā bhī nahīñ aatā na manānā tujh ko
pyaar ko tū ne tamāshā sā banāyā huā hai
vo mohabbat kā vo giit sunātā hai mujhe
maiñ ne 'ausāf' jo logoñ ko sikhāyā huā hai
bas mohabbat mein tera hijr kamaya hua hai
aur is hijr ko aangan mein ugaya hua hai
tu jise dasht samajhta hai ye ab dasht nahin
main ne is dasht mein ek shahr basaya hua hai
ye jo ek raushni pahlu se mere phuTti hai
ye wahi zaKHm hai jo tu ne lagaya hua hai
aankh suraj se milate hue katraata hun
main ne aankhon mein koi chand basaya hua hai
ruThna bhi nahin aata na manana tujh ko
pyar ko tu ne tamasha sa banaya hua hai
wo mohabbat ka wo git sunata hai mujhe
main ne 'ausaf' jo logon ko sikhaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.