bas mujhe wo shaKHs hi achchha lage
bas mujhe vo shaḳhs hī achchhā lage
jhuuT bhī bole to vo sachchā lage
maiñ basī huuñ us kī har ik saañs meñ
bichhḌī to mar jā.egā aisā lage
maiñ kahīñ huuñ vo kahīñ ham ek haiñ
har jagah bas vo mujhe merā lage
maazī kī chaukhaT pe dastak dil kī hai
yaad us kī ik adā-e-pā lage
kaun sā ilzām na mujh par lagā
aa.ina dekhe vo kab achchhā lage
maiñ kisī se kab bhalā nafrat karūñ
har koī allāh kā banda lage
'fātima' mausam kī rut hai ye vafā
bevafā aksar mujhe achchhā lage
bas mujhe wo shaKHs hi achchha lage
jhuT bhi bole to wo sachcha lage
main basi hun us ki har ek sans mein
bichhDi to mar jaega aisa lage
main kahin hun wo kahin hum ek hain
har jagah bas wo mujhe mera lage
mazi ki chaukhaT pe dastak dil ki hai
yaad us ki ek ada-e-pa lage
kaun sa ilzam na mujh par laga
aaina dekhe wo kab achchha lage
main kisi se kab bhala nafrat karun
har koi allah ka banda lage
'fatima' mausam ki rut hai ye wafa
bewafa aksar mujhe achchha lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.