bas paikar-e-jaanan pe nazar khinch raha hun
bas paikar-e-jānāñ pe nazar khīñch rahā huuñ
maiñ saañs suhūlat se agar khīñch rahā huuñ
jo terī mohabbat kā ġham-e-hijr hai us ko
ḳhushiyoñ se ghaTā.ūñ to sifar khīñch rahā huuñ
maiñ apne muqaddar ko tire haath pe rakh kar
manzil se lagātār safar khīñch rahā huuñ
maiñ khīñch rahā huuñ kisī pencil se tirā husn
phir saath hī us ke maiñ rubber khīñch rahā huuñ
ik samt se tujh ko vo udhar khīñch rahā hai
ik samt se tujh ko maiñ idhar khīñch rahā huuñ
nabiyoñ meñ farishtoñ kā hunar dekhte haiñ log
maiñ un meñ chhupā ek bashar khīñch rahā huuñ
tum paḌh rahe ho sher mire lafz samajh kar
nādāñ maiñ magar ḳhūn-e-jigar khīñch rahā huuñ
bas paikar-e-jaanan pe nazar khinch raha hun
main sans suhulat se agar khinch raha hun
jo teri mohabbat ka gham-e-hijr hai us ko
KHushiyon se ghaTaun to sifar khinch raha hun
main apne muqaddar ko tere hath pe rakh kar
manzil se lagatar safar khinch raha hun
main khinch raha hun kisi pencil se tera husn
phir sath hi us ke main rubber khinch raha hun
ek samt se tujh ko wo udhar khinch raha hai
ek samt se tujh ko main idhar khinch raha hun
nabiyon mein farishton ka hunar dekhte hain log
main un mein chhupa ek bashar khinch raha hun
tum paDh rahe ho sher mere lafz samajh kar
nadan main magar KHun-e-jigar khinch raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.