bas qunuti bhi nahin main aur rajai bhi nahin
bas qunūtī bhī nahīñ maiñ aur rajā.ī bhī nahīñ
jo nahīñ huuñ tujh ko vo sūrat dikhā.ī bhī nahīñ
ek arsa ho gayā lab par dharī thī ik ġhazal
us ne pūchhā bhī nahīñ maiñ ne sunā.ī bhī nahīñ
ham ne tere zauq kī ḳhātir kiyā ḳhud ko tabāh
ḳhuun bhī thūkā bahut shohrat kamā.ī bhī nahīñ
jānte the adl-e-hākim kī haqīqat is liye
na koī zanjīr khīñchī dī duhā.ī bhī nahīñ
kyā kahūñ ai hosh-manda be-ḳhudī kī lazzateñ
is kā to nemul-badal saarī ḳhudā.ī bhī nahīñ
bas qunuti bhi nahin main aur rajai bhi nahin
jo nahin hun tujh ko wo surat dikhai bhi nahin
ek arsa ho gaya lab par dhari thi ek ghazal
us ne puchha bhi nahin main ne sunai bhi nahin
hum ne tere zauq ki KHatir kiya KHud ko tabah
KHun bhi thuka bahut shohrat kamai bhi nahin
jaante the adl-e-hakim ki haqiqat is liye
na koi zanjir khinchi di duhai bhi nahin
kya kahun ai hosh-manda be-KHudi ki lazzaten
is ka to nemul-badal sari KHudai bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.