bas saliqe se zara barbaad hona hai tumhein
bas salīqe se zarā barbād honā hai tumheñ
is ḳharābe meñ agar ābād honā hai tumheñ
āshnā tahzīb-e-ḳhāmoshī se honā shart hai
dosto gar vāqa'ī fariyād honā hai tumheñ
vasl kī sā'at tumhāre qurb se mujh par khulā
ik na ik din hijr kī mī'ād honā hai tumheñ
'ishq karte vaqt mere zehn meñ hargiz na thā
shā'irī meñ is tarah ījād honā hai tumheñ
maiñ ḳhudā ke faisle se ḳhush huuñ ye bhī lutf hai
merī nā-tā'mīr kī buniyād honā hai tumheñ
bas saliqe se zara barbaad hona hai tumhein
is KHarabe mein agar aabaad hona hai tumhein
aashna tahzib-e-KHamoshi se hona shart hai
dosto gar waqa'i fariyaad hona hai tumhein
wasl ki sa'at tumhaare qurb se mujh par khula
ek na ek din hijr ki mi'ad hona hai tumhein
'ishq karte waqt mere zehn mein hargiz na tha
sha'iri mein is tarah ijad hona hai tumhein
main KHuda ke faisle se KHush hun ye bhi lutf hai
meri na-ta'mir ki buniyaad hona hai tumhein
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 76)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.