bas tera ism munajat mein rakkha hua hai
bas tirā ism munājāt meñ rakkhā huā hai
gardish-e-vaqt ko auqāt meñ rakkhā huā hai
ye tire adl-o-musāvāt meñ rakkhā huā hai
tū ne to ajr bhī darjāt meñ rakkhā huā hai
ab mujhe jā ke har ik dar pe sadā denī hai
jab mirā rizq hī ḳhairāt meñ rakkhā huā hai
apnī har baat pe hotā hai vilāyat kā gumāñ
ishq ne kaise tilismāt meñ rakkhā huā hai
tū ne jo āḳhirī maktūb mujhe bhejā thā
maiñ ne ik umr se barsāt meñ rakkhā huā hai
raunaq-e-shahr kabhī raas nahīñ aa.ī 'zakī'
dil ko bahlā ke mazāfāt meñ rakkhā huā hai
bas tera ism munajat mein rakkha hua hai
gardish-e-waqt ko auqat mein rakkha hua hai
ye tere adl-o-musawat mein rakkha hua hai
tu ne to ajr bhi darjat mein rakkha hua hai
ab mujhe ja ke har ek dar pe sada deni hai
jab mera rizq hi KHairaat mein rakkha hua hai
apni har baat pe hota hai wilayat ka guman
ishq ne kaise tilismat mein rakkha hua hai
tu ne jo aaKHiri maktub mujhe bheja tha
main ne ek umr se barsat mein rakkha hua hai
raunaq-e-shahr kabhi ras nahin aai 'zaki'
dil ko bahla ke mazafat mein rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.