bas tere panw ki kami tha main
bas tire paañv kī kamī thā maiñ
jaane kis shahr kī galī thā maiñ
mere uupar thiiñ sab kī āñkheñ aur
sab kī āñkhoñ meñ ajnabī thā maiñ
ik ta'alluq thā us parī-vash se
aañkh us kī thī raushnī thā maiñ
din Dhale log rone aate the
dukh kī bastī meñ ik nadī thā maiñ
mar rahā huuñ to yaad aatā hai
jaane kitnoñ kī zindagī thā maiñ
vo to mar kar khulā ki tum bhī ho
zindagī meñ to bas maiñ hī thā maiñ
jo na guzre vo ek pal thī tum
jo guzar jaa.e vo ghaḌī thā maiñ
ghar bhī sar par uThā.e phirtā thā
kitnā ma.asūm hijratī thā maiñ
bas tere panw ki kami tha main
jaane kis shahr ki gali tha main
mere upar thin sab ki aankhen aur
sab ki aankhon mein ajnabi tha main
ek ta'alluq tha us pari-wash se
aankh us ki thi raushni tha main
din Dhale log rone aate the
dukh ki basti mein ek nadi tha main
mar raha hun to yaad aata hai
jaane kitnon ki zindagi tha main
wo to mar kar khula ki tum bhi ho
zindagi mein to bas main hi tha main
jo na guzre wo ek pal thi tum
jo guzar jae wo ghaDi tha main
ghar bhi sar par uThae phirta tha
kitna masum hijrati tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.