bas tishnagi thi gahre samundar mein kuchh na tha
bas tishnagi thi gahre samundar mein kuchh na tha
Qamar Rais Bahraichi
MORE BYQamar Rais Bahraichi
bas tishnagī thī gahre samundar meñ kuchh na thā
us ke sivā hamāre muqaddar meñ kuchh na thā
kuchh ishq kī nazar ne tirā kaam kar diyā
varna kamāl husn ke paikar meñ kuchh na thā
sab kuchh luTā diyā thā tirī raah meñ faqat
īmān ke alāva mire ghar meñ kuchh na thā
raste kī Thokaroñ se vo manzil ko pā gayā
kaise kahūñ ki raah ke patthar meñ kuchh na thā
dard-o-alam milā na ḳhushī hī huī nasīb
shāyad mirī vafā ke muqaddar meñ kuchh na thā
royā tamām umr vo shabnam ke saath saath
phir kyoñ kahūñ ki dard-e-gul-e-tar meñ kuchh na thā
sunte the bhaa.ī bhaa.ī kā dushman hai par 'qamar'
dekhā to aisā shahr-e-sitamgar meñ kuchh na thā
bas tishnagi thi gahre samundar mein kuchh na tha
us ke siwa hamare muqaddar mein kuchh na tha
kuchh ishq ki nazar ne tera kaam kar diya
warna kamal husn ke paikar mein kuchh na tha
sab kuchh luTa diya tha teri rah mein faqat
iman ke alawa mere ghar mein kuchh na tha
raste ki Thokaron se wo manzil ko pa gaya
kaise kahun ki rah ke patthar mein kuchh na tha
dard-o-alam mila na KHushi hi hui nasib
shayad meri wafa ke muqaddar mein kuchh na tha
roya tamam umr wo shabnam ke sath sath
phir kyon kahun ki dard-e-gul-e-tar mein kuchh na tha
sunte the bhai bhai ka dushman hai par 'qamar'
dekha to aisa shahr-e-sitamgar mein kuchh na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.