bas wahi lamha aankh dekhegi
bas vahī lamha aañkh dekhegī
jis pe likkhā huā ho naam apnā
aisā sadiyoñ se hotā aayā hai
log karte raheñge kaam apnā
kuchh havā.eñ guzar rahī thiiñ idhar
ham ne pahuñchā diyā payām apnā
zehn kar le hazār-hā koshish
dil bhī kartā rahegā kaam apnā
chāhtī huuñ falak ko chhū lenā
jāntī huuñ magar maqām apnā
kyā yahī hai shanāḳht 'shā.ista'
maañ ne jo rakh diyā thā naam apnā
bas wahi lamha aankh dekhegi
jis pe likkha hua ho nam apna
aisa sadiyon se hota aaya hai
log karte rahenge kaam apna
kuchh hawaen guzar rahi thin idhar
hum ne pahuncha diya payam apna
zehn kar le hazar-ha koshish
dil bhi karta rahega kaam apna
chahti hun falak ko chhu lena
jaanti hun magar maqam apna
kya yahi hai shanaKHt 'shaista'
man ne jo rakh diya tha nam apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.