bas yahi ek kami uruj pe thi
bas yahī ik kamī 'urūj pe thī
ziist meñ tishnagī 'urūj pe thī
soch vo aañkh tak milā na sakā
kis qadar bebasī 'urūj pe thī
aap ke aane se zarā pahle
dil meñ tīra-shabī 'urūj pe thī
hosh aate hī ye ḳhayāl aaya
be-sabab be-ḳhudī 'urūj pe thī
kaise jhukte nahīñ anā vaale
us taraf 'ājizī 'urūj pe thī
sāmne aap the mire murshid
aur idhar mai-kashī 'urūj pe thī
dil shikasta thā dil girafta thā
par mirī shā'irī 'urūj pe thī
bas yahi ek kami 'uruj pe thi
zist mein tishnagi 'uruj pe thi
soch wo aankh tak mila na saka
kis qadar bebasi 'uruj pe thi
aap ke aane se zara pahle
dil mein tira-shabi 'uruj pe thi
hosh aate hi ye KHayal aaya
be-sabab be-KHudi 'uruj pe thi
kaise jhukte nahin ana wale
us taraf 'ajizi 'uruj pe thi
samne aap the mere murshid
aur idhar mai-kashi 'uruj pe thi
dil shikasta tha dil girafta tha
par meri sha'iri 'uruj pe thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.