bas yahi masala hai donon ka
bas yahī mas.ala hai donoñ kā
ishq ye dūsrā hai donoñ kā
is liye ehtiyāt haavī hai
ek sā tajraba hai donoñ kā
vasl kī lazzateñ bhī chāhte haiñ
dil bhī uktā rahā hai donoñ kā
phir ishāroñ meñ baat kaise ho
ek hī zāviya hai donoñ kā
laḌte rahte haiñ zehn-o-dil har vaqt
jaane kyā mas.ala hai donoñ kā
donoñ kirdār ek se haiñ magar
munfarid vāqi.a hai donoñ kā
ham to donoñ hī pīr-zāde haiñ
ek hī silsila hai donoñ kā
bas yahi masala hai donon ka
ishq ye dusra hai donon ka
is liye ehtiyat hawi hai
ek sa tajraba hai donon ka
wasl ki lazzaten bhi chahte hain
dil bhi ukta raha hai donon ka
phir ishaaron mein baat kaise ho
ek hi zawiya hai donon ka
laDte rahte hain zehn-o-dil har waqt
jaane kya masala hai donon ka
donon kirdar ek se hain magar
munfarid waqia hai donon ka
hum to donon hi pir-zade hain
ek hi silsila hai donon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.