bas zara der se ehsas hua tha mujhko
bas zarā der se ehsās huā thā mujh ko
vo bhī merī hī tarah soch rahā thā mujh ko
ye hī ik shaḳhs bhaTaktā hai jo sahrā sahrā
ek din shahr-e-tamannā meñ milā thā mujh ko
maiñ to maujūd thā har dam tire afsāne meñ
mere raavī ne magar maar diyā thā mujh ko
maiñ ne jab us ko batāyā to zarā abr chhaTā
us ne auroñ kī zabānī hī sunā thā mujh ko
aur phir kah hī diyā maiñ ne bhī ik din āmīn
vo duāoñ meñ bahut maañg rahā thā mujh ko
ho na ho vo pas-e-dīvār abhī hai maujūd
raushnī kā abhī ehsās huā thā mujh ko
ye na sochā thā ki is rañj pe honā hai tamām
ḳhatm honā hai ta.alluq ye patā thā mujh ko
ye jo pathrā.ī sī āñkheñ haiñ usī shaḳhs kī haiñ
jis ne raste meñ kabhī chhoḌ diyā thā mujh ko
iḳhtiyār us kā havāoñ pe nahīñ thā 'tāriq'
us ne dahlīz pe raushan to kiyā thā mujh ko
bas zara der se ehsas hua tha mujh ko
wo bhi meri hi tarah soch raha tha mujh ko
ye hi ek shaKHs bhaTakta hai jo sahra sahra
ek din shahr-e-tamanna mein mila tha mujh ko
main to maujud tha har dam tere afsane mein
mere rawi ne magar mar diya tha mujh ko
main ne jab us ko bataya to zara abr chhaTa
us ne auron ki zabani hi suna tha mujh ko
aur phir kah hi diya main ne bhi ek din aamin
wo duaon mein bahut mang raha tha mujh ko
ho na ho wo pas-e-diwar abhi hai maujud
raushni ka abhi ehsas hua tha mujh ko
ye na socha tha ki is ranj pe hona hai tamam
KHatm hona hai talluq ye pata tha mujh ko
ye jo pathrai si aankhen hain usi shaKHs ki hain
jis ne raste mein kabhi chhoD diya tha mujh ko
iKHtiyar us ka hawaon pe nahin tha 'tariq'
us ne dahliz pe raushan to kiya tha mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.