basar ho yun ki har ek dard hadisa na lage
basar ho yuuñ ki har ik dard hādisa na lage
guzar bhī jaa.e koī ġham to vāqi.a na lage
kabhī na phuul se chehre pe gard-e-yās jame
ḳhudā kare ki use ishq kī havā na lage
nazar na aa.e mujhe husn ke sivā kuchh bhī
vo bevafā bhī agar hai to bevafā na lage
yahī duā hai vo jab ho jamāl se āgāh
libās-e-nāz bhī pahne to dūsrā na lage
vo mehrbāñ sā lage us kī kuchh karo tadbīr
ḳhafā bhī ho to mirī aañkh ko ḳhafā na lage
mile jo nūr-talab dil bhī yuuñ munavvar ho
mirā harīf bhī shām-o-sahar burā na lage
kahāñ se lā.ūñ 'hasan' guftugū meñ vo andāz
mirā kalām kisī ko bhī be-mazā na lage
basar ho yun ki har ek dard hadisa na lage
guzar bhi jae koi gham to waqia na lage
kabhi na phul se chehre pe gard-e-yas jame
KHuda kare ki use ishq ki hawa na lage
nazar na aae mujhe husn ke siwa kuchh bhi
wo bewafa bhi agar hai to bewafa na lage
yahi dua hai wo jab ho jamal se aagah
libas-e-naz bhi pahne to dusra na lage
wo mehrban sa lage us ki kuchh karo tadbir
KHafa bhi ho to meri aankh ko KHafa na lage
mile jo nur-talab dil bhi yun munawwar ho
mera harif bhi sham-o-sahar bura na lage
kahan se laun 'hasan' guftugu mein wo andaz
mera kalam kisi ko bhi be-maza na lage
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 179)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.