basar yun shab-e-umr kar jaunga
basar yuuñ shab-e-'umr kar jā.uñgā
koī ḳhvāb dekhūñgā Dar jā.uñgā
yahī sochtā ghar se duur aa gayā
koī rok legā Thahar jā.uñgā
agar ban na pā.egī koī jagah
to ḳhālī jagah koī bhar jā.uñgā
vo jab chāhe nazreñ badal saktā hai
maiñ jab chāhūñ us se mukar jā.uñgā
maiñ phir us se vā'da-ḳhilāfī ke baa'd
nayā koī paimān kar jā.uñgā
kisī aur dil meñ banā lūñgā ghar
jab us kī nazar se utar jā.uñgā
bhanak tak paḌegī na us ko zarā
dabe paañv yaañ se guzar jā.uñgā
rahe zid pe qaa.em agar us ke ashk
yahī hogā ik din sañvar jā.uñgā
ki ho rāsta vāpsī ke liye
maiñ dānista kuchh bhuul kar jā.uñgā
yuñhī marne vāloñ ko rote hue
'jamāl' ek din maiñ bhī mar jā.uñgā
basar yun shab-e-'umr kar jaunga
koi KHwab dekhunga Dar jaunga
yahi sochta ghar se dur aa gaya
koi rok lega Thahar jaunga
agar ban na paegi koi jagah
to KHali jagah koi bhar jaunga
wo jab chahe nazren badal sakta hai
main jab chahun us se mukar jaunga
main phir us se wa'da-KHilafi ke ba'd
naya koi paiman kar jaunga
kisi aur dil mein bana lunga ghar
jab us ki nazar se utar jaunga
bhanak tak paDegi na us ko zara
dabe panw yan se guzar jaunga
rahe zid pe qaem agar us ke ashk
yahi hoga ek din sanwar jaunga
ki ho rasta wapsi ke liye
main danista kuchh bhul kar jaunga
yunhi marne walon ko rote hue
'jamal' ek din main bhi mar jaunga
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 111)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.