base hain itr-e-suhag mein hum gale se kis ko laga liya hai
base hain itr-e-suhag mein hum gale se kis ko laga liya hai
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
base haiñ itr-e-suhāg meñ ham gale se kis ko lagā liyā hai
hamārā pairāhan-e-mohabbat kisī kī utrī huī qabā hai
sharāb-ḳhāne meñ aaya zāhid utar gayā jubba-e-riyā.ī
sadā-e-qulqul ye kah rahī hai bigaḌ ke ye aadmī banā hai
ajiib san.at kā hai ye putlā uThā duuñ parda dikhā duuñ jalva
adab ijāzat agar mujhe de to kah duuñ kaun aadmī banā hai
milegā ye ḳhaak meñ yahīñ par na hogā kūche se tere bāhar
lagā diyā ab to ham ne bistar ye dil tujhī par miTā huā hai
hai zindagī be-sabāt aisī habāb kī ho numūd jaisī
bas aise jiine kī aisī-taisī idhar to ubhrā udhar fanā hai
adam kī manzil se Dar na 'akbar' na chor is meñ na is meñ rahzan
hazāroñ lākhoñ haiñ aate jaate ye rāsta ḳhuub chal rahā hai
base hain itr-e-suhag mein hum gale se kis ko laga liya hai
hamara pairahan-e-mohabbat kisi ki utri hui qaba hai
sharab-KHane mein aaya zahid utar gaya jubba-e-riyai
sada-e-qulqul ye kah rahi hai bigaD ke ye aadmi bana hai
ajib sanat ka hai ye putla uTha dun parda dikha dun jalwa
adab ijazat agar mujhe de to kah dun kaun aadmi bana hai
milega ye KHak mein yahin par na hoga kuche se tere bahar
laga diya ab to hum ne bistar ye dil tujhi par miTa hua hai
hai zindagi be-sabaat aisi habab ki ho numud jaisi
bas aise jine ki aisi-taisi idhar to ubhra udhar fana hai
adam ki manzil se Dar na 'akbar' na chor is mein na is mein rahzan
hazaron lakhon hain aate jate ye rasta KHub chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.