bashar bashar se gurezan hai dekhiye kya ho
bashar bashar se gurezāñ hai dekhiye kyā ho
ik inqalāb numāyāñ hai dekhiye kyā ho
faqat junūñ hī nahīñ ab ke mausam-e-gul meñ
ḳhirad bhī chāk-garebāñ dekhiye kyā ho
rah-e-hayāt kī dushvāriyāñ are tauba
sabāt-e-azm bhī larzāñ hai dekhiye kyā ho
badal to saktī hai nairañgī-e-fareb-e-sahar
yaqīñ nahīñ magar imkāñ hai dekhiye kyā ho
jise bhī dekhiye 'ābid' hayāt se bezār
har ek shaḳhs pareshāñ hai dekhiye kyā ho
bashar bashar se gurezan hai dekhiye kya ho
ek inqalab numayan hai dekhiye kya ho
faqat junun hi nahin ab ke mausam-e-gul mein
KHirad bhi chaak-gareban dekhiye kya ho
rah-e-hayat ki dushwariyan are tauba
sabaat-e-azm bhi larzan hai dekhiye kya ho
badal to sakti hai nairangi-e-fareb-e-sahar
yaqin nahin magar imkan hai dekhiye kya ho
jise bhi dekhiye 'abid' hayat se bezar
har ek shaKHs pareshan hai dekhiye kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.