bashar ke faiz-e-sohbat se liyaqat aa hi jati hai
bashar ke faiz-e-sohbat se liyaqat aa hi jati hai
Asad Ali Khan Qalaq
MORE BYAsad Ali Khan Qalaq
bashar ke faiz-e-sohbat se liyāqat aa hī jaatī hai
parī-zādoñ ko āḳhir ādmiyyat aa hī jaatī hai
javānī se diyā vo hote haiñ ġhāfil za'īfī meñ
nasīm-e-sub.h chaltī hai to ġhaflat aa hī jaatī hai
kilīd-e-qufl mushkil hotī hai dād-o-dahish āḳhir
saḳhī ke ek din aaḌe saḳhāvat aa hī jaatī hai
raqīb us shoḳh se jab garmiyāñ karte haiñ mahfil meñ
nahīñ qaabū meñ dil rahtā harārat aa hī jaatī hai
hameñ bhī yaad kar lete haiñ vo bhūle se sohbat meñ
kabhī ham be-nasīboñ kī bhī naubat aa hī jaatī hai
tabī'at ko na kyūñkar ġhair ke mazmūn se nafrat ho
ki jhūTī chiiz se aksar karāhat aa hī jaatī hai
bajā kahte haiñ jo kahte haiñ ye ḳhidmat se 'azmat hai
ki kaam insāñ ke ik din riyāzat aa hī jaatī hai
'ajab sar-garm-e-koshish ho muqaddar meñ jo hotī hai
to haath insāñ ke ik roz daulat aa hī jaatī hai
ta.assuf karte haiñ vo dekh kar merā dil-e-vīrāñ
ḳharābe par guzarte haiñ to ġhairat aa hī jaatī hai
dabāyā jab raqīboñ ko to bole yaar kyā kahnā
jo arbāb-e-hayā haiñ un ko ġhairat aa hī jaatī hai
hasīnoñ ko hī zebā husn-e-sūrat par ġhurūr apne
har ik arbāb-e-daulat ko ra'ūnat aa hī jaatī hai
'ajab shai hai ḳhushī bhī sun ke vasl-e-yār kā muzhda
marīz-e-hijr ke chehre pe vahshat aa hī jaatī hai
chhupāne se nahīñ chhuptā hai husn-e-dil-kash-e-ālam
kahīñ ho dekhne meñ achchhī sūrat aa hī jaatī hai
sikhā detā hai iqbāl aadmī ko nek-o-bad āḳhir
ye daulat hai vo shai shān-e-riyāsat aa hī jaatī hai
tavajjoh mun.imoñ kī naf' se ḳhālī nahīñ hotī
havā-e-gosha-e-dāmān-e-daulat aa hī jaatī hai
sitam-dīda jo haiñ vo zikr-e-āfat se bhī Darte haiñ
'qalaq' nām-e-shab-e-furqat se dahshat aa hī jaatī hai
bashar ke faiz-e-sohbat se liyaqat aa hi jati hai
pari-zadon ko aaKHir aadmiyyat aa hi jati hai
jawani se diya wo hote hain ghafil za'ifi mein
nasim-e-subh chalti hai to ghaflat aa hi jati hai
kilid-e-qufl mushkil hoti hai dad-o-dahish aaKHir
saKHi ke ek din aaDe saKHawat aa hi jati hai
raqib us shoKH se jab garmiyan karte hain mahfil mein
nahin qabu mein dil rahta hararat aa hi jati hai
hamein bhi yaad kar lete hain wo bhule se sohbat mein
kabhi hum be-nasibon ki bhi naubat aa hi jati hai
tabi'at ko na kyunkar ghair ke mazmun se nafrat ho
ki jhuTi chiz se aksar karahat aa hi jati hai
baja kahte hain jo kahte hain ye KHidmat se 'azmat hai
ki kaam insan ke ek din riyazat aa hi jati hai
'ajab sar-garm-e-koshish ho muqaddar mein jo hoti hai
to hath insan ke ek roz daulat aa hi jati hai
tassuf karte hain wo dekh kar mera dil-e-viran
KHarabe par guzarte hain to ghairat aa hi jati hai
dabaya jab raqibon ko to bole yar kya kahna
jo arbab-e-haya hain un ko ghairat aa hi jati hai
hasinon ko hi zeba husn-e-surat par ghurur apne
har ek arbab-e-daulat ko ra'unat aa hi jati hai
'ajab shai hai KHushi bhi sun ke wasl-e-yar ka muzhda
mariz-e-hijr ke chehre pe wahshat aa hi jati hai
chhupane se nahin chhupta hai husn-e-dil-kash-e-alam
kahin ho dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai
sikha deta hai iqbaal aadmi ko nek-o-bad aaKHir
ye daulat hai wo shai shan-e-riyasat aa hi jati hai
tawajjoh munimon ki naf' se KHali nahin hoti
hawa-e-gosha-e-daman-e-daulat aa hi jati hai
sitam-dida jo hain wo zikr-e-afat se bhi Darte hain
'qalaq' nam-e-shab-e-furqat se dahshat aa hi jati hai
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.