bashar ko jis se mayassar kabhi KHushi na hui
bashar ko jis se mayassar kabhī ḳhushī na huī
vo ik mazāq huā koī zindagī na huī
nazar kisī kī ujāloñ se bhar ga.ī dāman
charāġh ham ne jalā.e to raushnī na huī
ḳhudā kī aaḌ meñ kuchh log pūjte haiñ sanam
ise fareb kaho ye to bandagī na huī
tumhārī yaad ke marham se bhī sukūñ na milā
kisī tarah bhī mire dard meñ kamī na huī
vo jis pe ham bhī umīdoñ ke gul khilā sakte
vo shāḳh sahn-e-chaman meñ kabhī harī na huī
agar hai ‘ishq-e-haqīqī to jaañ nisār karo
salīb-o-dār se Darnā to 'āshiqī na huī
hazār shikve gile lab pe raqs karte rahe
vo jab mile to 'kañval' ham se baat bhī na huī
bashar ko jis se mayassar kabhi KHushi na hui
wo ek mazaq hua koi zindagi na hui
nazar kisi ki ujalon se bhar gai daman
charagh hum ne jalae to raushni na hui
KHuda ki aaD mein kuchh log pujte hain sanam
ise fareb kaho ye to bandagi na hui
tumhaari yaad ke marham se bhi sukun na mila
kisi tarah bhi mere dard mein kami na hui
wo jis pe hum bhi umidon ke gul khila sakte
wo shaKH sahn-e-chaman mein kabhi hari na hui
agar hai ‘ishq-e-haqiqi to jaan nisar karo
salib-o-dar se Darna to 'ashiqi na hui
hazar shikwe gile lab pe raqs karte rahe
wo jab mile to 'kanwal' hum se baat bhi na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.