bashar mein aise hi ilm-o-hunar zaruri hai
bashar meñ aise hī 'ilm-o-hunar zarūrī hai
shajar kī shāḳh pe jaise samar zarūrī hai
yaqīñ kareñ na kareñ vo mirī mohabbat kā
unheñ ye haal batānā magar zarūrī hai
tamām shahr meñ barsāt ho rahī hai magar
udhar hī abr nahīñ hai jidhar zarūrī hai
tumheñ hamārī qasam ham se duur mat jaanā
tumhārā saath hameñ 'umr bhar zarūrī hai
yahāñ pe ghuus sifārish se kaam hote haiñ
ye daur vo nahīñ jis meñ hunar zarūrī hai
bashar mein aise hi 'ilm-o-hunar zaruri hai
shajar ki shaKH pe jaise samar zaruri hai
yaqin karen na karen wo meri mohabbat ka
unhen ye haal batana magar zaruri hai
tamam shahr mein barsat ho rahi hai magar
udhar hi abr nahin hai jidhar zaruri hai
tumhein hamari qasam hum se dur mat jaana
tumhaara sath hamein 'umr bhar zaruri hai
yahan pe ghus sifarish se kaam hote hain
ye daur wo nahin jis mein hunar zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.