basirat se abhi mahrum hain sab
basīrat se abhī mahrūm haiñ sab
manāzir shahr ke ma.asūm haiñ sab
koī miltā nahīñ hañs kar kisī se
na jaane kis liye maġhmūm haiñ sab
girah kholo na apnī gumrahī kī
hameñ ye rāste mālūm haiñ sab
kahāñ tak vus.ateñ Tāñkūñ zamīñ par
nishān-e-ārzū mādūm haiñ sab
jinheñ raushan dhuñdalke kah rahe ho
hamāre ahd kā maqsūm haiñ sab
maiñ kis ko aa.ina samjhūñ yaqīñ kā
nuqūsh-e-āgahī mauhūm haiñ sab
ye tum batlāo zālim kaun Thahre
sar-e-bazm-e-talab mazlūm haiñ sab
kise 'parvāz' ḳhud se duur samjhūñ
mire idrāk kā mafhūm haiñ sab
basirat se abhi mahrum hain sab
manazir shahr ke masum hain sab
koi milta nahin hans kar kisi se
na jaane kis liye maghmum hain sab
girah kholo na apni gumrahi ki
hamein ye raste malum hain sab
kahan tak wusaten Tankun zamin par
nishan-e-arzu madum hain sab
jinhen raushan dhundalke kah rahe ho
hamare ahd ka maqsum hain sab
main kis ko aaina samjhun yaqin ka
nuqush-e-agahi mauhum hain sab
ye tum batlao zalim kaun Thahre
sar-e-bazm-e-talab mazlum hain sab
kise 'parwaz' KHud se dur samjhun
mere idrak ka mafhum hain sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.