basne lagi hain KHwahishen dil ke dayar mein
basne lagī haiñ ḳhvāhisheñ dil ke dayār meñ
khilne lage haiñ phuul mire ḳhār-zār meñ
āzādī merī ruuh ko dilvā.egī ajal
kab tak rakhegī zindagī apne hisār meñ
maiñ us ke vāste kabhī lākhoñ meñ ek thā
laatā nahīñ hai ab vo kisī bhī shumār meñ
mujh ko yaqīn thā vo faqat mere saath hai
khāyā hai maiñ ne dhoka isī e'tibār meñ
basne lagi hain KHwahishen dil ke dayar mein
khilne lage hain phul mere KHar-zar mein
aazadi meri ruh ko dilwaegi ajal
kab tak rakhegi zindagi apne hisar mein
main us ke waste kabhi lakhon mein ek tha
lata nahin hai ab wo kisi bhi shumar mein
mujh ko yaqin tha wo faqat mere sath hai
khaya hai main ne dhoka isi e'tibar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.