bason par tabassum to aankhon mein pani
bason par tabassum to aankhon mein pani
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
basoñ par tabassum to āñkhoñ meñ paanī
yahī hai yahī dil-jaloñ kī nishānī
tirī be-ruḳhī aur tirī mehrbānī
yahī maut hai aur yahī zindagānī
vahī ik fasāna vahī ik kahānī
javānī javānī javānī javānī
na ab vo masarrat na vo shādmānī
dareġhā javānī dareġhā javānī
mohabbat hī hai asl meñ jāvedānī
buḌhāpā bhī faanī javānī bhī faanī
atā kar mujhe vo maqām-e-mohabbat
kare husn ḳhud ishq kī pāsbānī
batā.ūñ hai kyā āñsuoñ kī haqīqat
jo samjho to sab kuchh na samjho to paanī
zamīñ se ta.alluq na rishta falak se
musībat hai goyā buland āshyiānī
'sahar' is jahān-e-bahār-e-ḳhizāñ meñ
ḳhushī dā.imī hai na ġham jāvedānī
bason par tabassum to aankhon mein pani
yahi hai yahi dil-jalon ki nishani
teri be-ruKHi aur teri mehrbani
yahi maut hai aur yahi zindagani
wahi ek fasana wahi ek kahani
jawani jawani jawani jawani
na ab wo masarrat na wo shadmani
daregha jawani daregha jawani
mohabbat hi hai asl mein jawedani
buDhapa bhi fani jawani bhi fani
ata kar mujhe wo maqam-e-mohabbat
kare husn KHud ishq ki pasbani
bataun hai kya aansuon ki haqiqat
jo samjho to sab kuchh na samjho to pani
zamin se talluq na rishta falak se
musibat hai goya buland aashyiani
'sahar' is jahan-e-bahaar-e-KHizan mein
KHushi daimi hai na gham jawedani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.