basti basti bhuk ugi hai jangal jangal aag
bastī bastī bhuuk ugī hai jangal jangal aag
aaj kā insāñ khel rahā hai apne ḳhuuñ se phaag
saḌtī lāshoñ kī badbū se jiinā ek azaab
shahr-e-havas meñ lagī huī hai har-sū aag hī aag
is nagrī meñ chheḌ rahe ho tum gulāb kī baat
jis nagrī kā bachcha bachcha hai zahrīlā naag
chashm-zadan meñ Dheh jaa.e sab nafrat kī dīvār
bazm-e-vafā meñ chheḌo yaaro aisā koī raag
udhar chhalakte shīsha-o-sāġhar ḳhālī idhar gilās
saaqī se kyā shikva karnā apnā apnā bhaag
jin kā muqaddar lafz shanāsī se mahrūm 'samī.a'
mere fan par karte haiñ vo tanqīdeñ be-lāg
basti basti bhuk ugi hai jangal jangal aag
aaj ka insan khel raha hai apne KHun se phag
saDti lashon ki badbu se jina ek azab
shahr-e-hawas mein lagi hui hai har-su aag hi aag
is nagri mein chheD rahe ho tum gulab ki baat
jis nagri ka bachcha bachcha hai zahrila nag
chashm-zadan mein Dheh jae sab nafrat ki diwar
bazm-e-wafa mein chheDo yaro aisa koi rag
udhar chhalakte shisha-o-saghar KHali idhar gilas
saqi se kya shikwa karna apna apna bhag
jin ka muqaddar lafz shanasi se mahrum 'samia'
mere fan par karte hain wo tanqiden be-lag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.