basti basti kucha kucha shahr ko lala-fam kiya
bastī bastī kūcha kūcha shahr ko lāla-fām kiyā
dekho to in ahl-e-havas ne kaisā qatl-e-ām kiyā
ham to jahāñ ke sultānoñ se behtar us ko jaane haiñ
jis ne rūkhī sūkhī khā kar gudḌī meñ ārām kiyā
hirs-o-havā ke is jañgal meñ sirf vahī hai mard-e-jarī
nafs kā taa.ir jis insāñ ne ziist meñ zer-e-dām kiyā
qarya qarya ḳhaak uḌā kar shām-o-sahar durveshoñ ne
kaise kaise sañg-diloñ ko husn-e-amal se raam kiyā
zulm kī kālak ḳhuun se dho kar haq kī ḳhātir valiyoñ ne
log hamesha yaad rakheñge aisā ūñchā kaam kiyā
dekh ke nairañgī-e-gulshan ThanDe dil se socho to
kis ne faroġh-e-zulmat de kar nūr-e-sahar ko shaam kiyā
jab bhī royā sidq-e-dil se rab kī hub meñ zār-o-zār
ashk-e-'jalī' ne mere haq meñ rahmat ban kar kaam kiyā
basti basti kucha kucha shahr ko lala-fam kiya
dekho to in ahl-e-hawas ne kaisa qatl-e-am kiya
hum to jahan ke sultanon se behtar us ko jaane hain
jis ne rukhi sukhi kha kar gudDi mein aaram kiya
hirs-o-hawa ke is jangal mein sirf wahi hai mard-e-jari
nafs ka tair jis insan ne zist mein zer-e-dam kiya
qarya qarya KHak uDa kar sham-o-sahar durweshon ne
kaise kaise sang-dilon ko husn-e-amal se ram kiya
zulm ki kalak KHun se dho kar haq ki KHatir waliyon ne
log hamesha yaad rakhenge aisa uncha kaam kiya
dekh ke nairangi-e-gulshan ThanDe dil se socho to
kis ne farogh-e-zulmat de kar nur-e-sahar ko sham kiya
jab bhi roya sidq-e-dil se rab ki hub mein zar-o-zar
ashk-e-'jali' ne mere haq mein rahmat ban kar kaam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.