basti basti maqtal baba
bastī bastī maqtal baabā
shahr se achchhā jañgal baabā
chāñd meñ baiThī buḌhiyā pūchhe
kyuuñ huī duniyā pāgal baabā
darveshī meñ ḳhaak barābar
sonā ho yā pītal baabā
jis kā man dhanvān hai us ke
tan kā TaaT bhī maḳhmal baabā
yaar mile to sab din achchhe
kyā jum.a kyā mañgal baabā
jaane kahāñ aur kis par barse
vaqt hai uḌtā bādal baabā
updeshoñ meñ biit na jaa.e
jīvan hai karm-asthal baabā
jo karnā hai aaj hī kar le
jaane kaun rahe kal baabā
basti basti maqtal baba
shahr se achchha jangal baba
chand mein baiThi buDhiya puchhe
kyun hui duniya pagal baba
darweshi mein KHak barabar
sona ho ya pital baba
jis ka man dhanwan hai us ke
tan ka TaT bhi maKHmal baba
yar mile to sab din achchhe
kya juma kya mangal baba
jaane kahan aur kis par barse
waqt hai uDta baadal baba
updeshon mein bit na jae
jiwan hai karm-asthal baba
jo karna hai aaj hi kar le
jaane kaun rahe kal baba
- Book : Kisht-e-Khayal (Pg. 91)
- Author : Izhar warsi
- Publication : M.R. Publications (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.