basti basti shor macha hai
bastī bastī shor machā hai
sahrā meñ ik chāñd sajā hai
shāḳh pe kaisā phuul khilā hai
paanī maujeñ maar rahā hai
dard uThā hai Tiis ke dil meñ
sahrā sahrā guuñj rahā hai
sab apne haiñ kaun parāyā
sunñe meñ achchhā lagtā hai
nannhī nannhī sī āñkhoñ meñ
koī sapnā tair rahā hai
ham ne sab se aañkh churā kar
tujh se naata joḌ liyā hai
sab se rishta toḌ ke 'zāhir'
us ne merā dil rakkhā hai
basti basti shor macha hai
sahra mein ek chand saja hai
shaKH pe kaisa phul khila hai
pani maujen mar raha hai
dard uTha hai Tis ke dil mein
sahra sahra gunj raha hai
sab apne hain kaun paraya
sunne mein achchha lagta hai
nannhi nannhi si aankhon mein
koi sapna tair raha hai
hum ne sab se aankh chura kar
tujh se nata joD liya hai
sab se rishta toD ke 'zahir'
us ne mera dil rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.