basti hai tarik ujale karta ja
bastī hai tārīk ujāle kartā jā
nekī kar dariyā ke havāle kartā jā
paḌhne kī fursat na sahī lekin phir bhī
apne ghar meñ jam.a risāle kartā jā
shām-o-sahar pathrīle rastoñ pe chal kar
ḳhud apne pairoñ meñ chhāle kartā jā
barsoñ se jo band hue haiñ logoñ par
duur un darvāzoñ se taale kartā jā
duniyā ke dhandoñ meñ uljhā de ḳhud ko
apne saare ghar meñ jaale kartā jā
kaun paḌhegā terī kitāb-e-hastī ko
laakh bhī is ke safhe kaale kartā jā
apnī kahānī pahuñchā de ik ik ghar tak
baaqī qisse bhūlne vaale kartā jā
naam adab meñ terā bhī chamkegā 'hunar'
zehn apnā lafzoñ ke havāle kartā jā
basti hai tarik ujale karta ja
neki kar dariya ke hawale karta ja
paDhne ki fursat na sahi lekin phir bhi
apne ghar mein jama risale karta ja
sham-o-sahar pathrile raston pe chal kar
KHud apne pairon mein chhaale karta ja
barson se jo band hue hain logon par
dur un darwazon se tale karta ja
duniya ke dhandon mein uljha de KHud ko
apne sare ghar mein jale karta ja
kaun paDhega teri kitab-e-hasti ko
lakh bhi is ke safhe kale karta ja
apni kahani pahuncha de ek ek ghar tak
baqi qisse bhulne wale karta ja
nam adab mein tera bhi chamkega 'hunar'
zehn apna lafzon ke hawale karta ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.