basti mili makan mile baam-o-dar mile
bastī milī makān mile bām-o-dar mile
maiñ DhūñDhtā rahā ki kahīñ koī ghar mile
be-samt kā.enāt meñ kyā samt kī talāsh
bas chal paḌe haiñ raah jahāñ aur jidhar mile
āvārgī meñ tum bhī kahāñ tak chaloge saath
pahle bhī rāste meñ ka.ī ham-safar mile
lagtā hai ab ke jaan hī le legī fasl-e-gul
ashkoñ meñ aaj bhī ka.ī laḳht-e-jigar mile
shāyad guzar rahā huuñ kisī karbalā se maiñ
ḳheme jale hue mile nezoñ pe sar mile
maiñ chāhtā huuñ kaaT de koī mirī ye baat
jitne baḌe daraḳht mile be-samar mile
kyā haath paañv maar rahe ho zamīn par
Duubo samundaroñ meñ to shāyad guhar mile
basti mili makan mile baam-o-dar mile
main DhunDhta raha ki kahin koi ghar mile
be-samt kaenat mein kya samt ki talash
bas chal paDe hain rah jahan aur jidhar mile
aawargi mein tum bhi kahan tak chaloge sath
pahle bhi raste mein kai ham-safar mile
lagta hai ab ke jaan hi le legi fasl-e-gul
ashkon mein aaj bhi kai laKHt-e-jigar mile
shayad guzar raha hun kisi karbala se main
KHeme jale hue mile nezon pe sar mile
main chahta hun kaT de koi meri ye baat
jitne baDe daraKHt mile be-samar mile
kya hath panw mar rahe ho zamin par
Dubo samundaron mein to shayad guhar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.