basti se chand roz kinara karunga main
bastī se chand roz kināra karūñgā maiñ
vahshat ko jā ke dasht meñ maarā karūñgā maiñ
vaise to ye zamīn mire kaam kī nahīñ
lekin ab is ke saath guzārā karūñgā maiñ
shāyad ki is se murda samundar meñ jaan aa.e
sahrā meñ kashtiyoñ ko utārā karūñgā maiñ
manzar kā rañg rañg nigāhoñ meñ aa.egā
ik aise zāviye se nazāra karūñgā maiñ
ai mehrbāñ ajal mujhe kuchh vaqt chāhiye
jab jī bharā to tum ko ishāra karūñgā maiñ
basti se chand roz kinara karunga main
wahshat ko ja ke dasht mein mara karunga main
waise to ye zamin mere kaam ki nahin
lekin ab is ke sath guzara karunga main
shayad ki is se murda samundar mein jaan aae
sahra mein kashtiyon ko utara karunga main
manzar ka rang rang nigahon mein aaega
ek aise zawiye se nazara karunga main
ai mehrban ajal mujhe kuchh waqt chahiye
jab ji bhara to tum ko ishaara karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.