bata ai dil ki nalon se hua kya
batā ai dil ki nāloñ se huā kyā
tire rone se vo but Dar gayā kyā
jo tum par mar miTā marne se pahle
vo kyā jaane baqā kyā hai fanā kyā
na samjhe ham to ab tak is qadar bhī
ki un kī zulf-e-pur-ḳham hai balā kyā
vo kahte haiñ naqāb-e-ruḳh haTā kar
hayā-o-sharm se ab vāsta kyā
mirā dil le ke mujh se phir ga.e tum
koī aisā bhī matlab-āshnā kyā
nahīñ aur haañ pe apnā faisla hai
hamārī ibtidā kyā intihā kyā
khaḌe haiñ chup dam-e-āḳhir mire sab
atibbā kyā azīz-o-aqribā kyā
nahīñ is daur meñ koī kisī kā
kisī kī ab shikāyat kyā gila kyā
na rakhte ho hunar koī na daulat
batāo to karoge tum 'atā' kyā
bata ai dil ki nalon se hua kya
tere rone se wo but Dar gaya kya
jo tum par mar miTa marne se pahle
wo kya jaane baqa kya hai fana kya
na samjhe hum to ab tak is qadar bhi
ki un ki zulf-e-pur-KHam hai bala kya
wo kahte hain naqab-e-ruKH haTa kar
haya-o-sharm se ab wasta kya
mera dil le ke mujh se phir gae tum
koi aisa bhi matlab-ashna kya
nahin aur han pe apna faisla hai
hamari ibtida kya intiha kya
khaDe hain chup dam-e-aKHir mere sab
atibba kya aziz-o-aqriba kya
nahin is daur mein koi kisi ka
kisi ki ab shikayat kya gila kya
na rakhte ho hunar koi na daulat
batao to karoge tum 'ata' kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.