bata kaise hum tujhko chahen sitamgar
batā kaise ham tujh ko chāheñ sitamgar
adā.eñ haiñ qātil nigāheñ sitamgar
tujhe dekhnā maar Dāleñgī ik din
mire TuuTe dil kī ye aa.heñ sitamgar
kabhī husn vāloñ se dil mat lagānā
farebī haiñ ye bevafā haiñ sitamgar
na bardāsht kar pā.egā ye tirā dil
kaThin haiñ mohabbat kī rāheñ sitamgar
sharābor hai terī ulfat meñ 'faisal'
de us ko bhī dil meñ panāheñ sitamgar
bata kaise hum tujh ko chahen sitamgar
adaen hain qatil nigahen sitamgar
tujhe dekhna mar Dalengi ek din
mere TuTe dil ki ye aahen sitamgar
kabhi husn walon se dil mat lagana
farebi hain ye bewafa hain sitamgar
na bardasht kar paega ye tera dil
kaThin hain mohabbat ki rahen sitamgar
sharabor hai teri ulfat mein 'faisal'
de us ko bhi dil mein panahen sitamgar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.