bata kya kya tujhe ai shauq-e-hairan yaad aata hai
batā kyā kyā tujhe ai shauq-e-hairāñ yaad aatā hai
vo jān-e-ārzū vo rāhat-e-jāñ yaad aatā hai
pareshāñ-ḳhātirī had se guzartī hai to vahshat ko
kisī kā ālam-e-zulf-e-pareshāñ yaad aatā hai
guzartā hai kabhī jab chaudhvīñ kā chāñd badlī se
mahīn āñchal meñ un kā rū-e-tābāñ yaad aatā hai
añdherī raat meñ jugnū chamakte haiñ to rah rah kar
dupaTTe ke sitāroñ kā charāġhāñ yaad aatā hai
ufuq par phailtī haiñ surḳhiyāñ jab sub.h-e-tāza kī
koī siina pas-e-chāk-e-garebāñ yaad aatā hai
kalī ko phuul bante dekh kar ahd-e-bahārāñ meñ
koī chehra bahut nau-ḳhez-o-ḳhandāñ yaad aatā hai
ġhazal jab chheḌ detā hai koī ahd-e-javānī kī
kisī kā jism-e-mauzūn-o-ġhazal-ḳhvāñ yaad aatā hai
vo tūfāñ karvaTeñ letā thā jo ik jism-e-rā.anā meñ
vo tūfāñ ham-kinārī kā vo tūfāñ yaad aatā hai
vo armāñ jo kisī ke shoḳh hoñToñ par machaltā thā
vo armāñ bosa-e-lab kā vo armāñ yaad aatā hai
vufūr-e-shauq se ḳhud haath apne chuum letā huuñ
vufūr-e-shauq meñ jab un kā dāmāñ yaad aatā hai
bahut kuchh yaad aatā hai 'ra.īs' un kī judā.ī meñ
magar jaise koī ḳhvāb-e-pareshāñ yaad aatā hai
bata kya kya tujhe ai shauq-e-hairan yaad aata hai
wo jaan-e-arzu wo rahat-e-jaan yaad aata hai
pareshan-KHatiri had se guzarti hai to wahshat ko
kisi ka aalam-e-zulf-e-pareshan yaad aata hai
guzarta hai kabhi jab chaudhwin ka chand badli se
mahin aanchal mein un ka ru-e-taban yaad aata hai
andheri raat mein jugnu chamakte hain to rah rah kar
dupaTTe ke sitaron ka charaghan yaad aata hai
ufuq par phailti hain surKHiyan jab subh-e-taza ki
koi sina pas-e-chaak-e-gareban yaad aata hai
kali ko phul bante dekh kar ahd-e-bahaaran mein
koi chehra bahut nau-KHez-o-KHandan yaad aata hai
ghazal jab chheD deta hai koi ahd-e-jawani ki
kisi ka jism-e-mauzun-o-ghazal-KHwan yaad aata hai
wo tufan karwaTen leta tha jo ek jism-e-raana mein
wo tufan ham-kinari ka wo tufan yaad aata hai
wo arman jo kisi ke shoKH honTon par machalta tha
wo arman bosa-e-lab ka wo arman yaad aata hai
wufur-e-shauq se KHud hath apne chum leta hun
wufur-e-shauq mein jab un ka daman yaad aata hai
bahut kuchh yaad aata hai 'rais' un ki judai mein
magar jaise koi KHwab-e-pareshan yaad aata hai
- Book : Hikayat-e-ne (Pg. 95)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est, krachis (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.