bata manzil-e-shauq kya ho gaya
batā manzil-e-shauq kyā ho gayā
mirī koshishoñ kā sila kho gayā
havādis kī āñdhī hai zoroñ pe aaj
mirā rāhbar aaj kyoñ so gayā
na pand-o-nasīhat na zauq-e-amal
ye shaiḳh-o-barahman ko kyā ho gayā
chaman se guzartī hai muñh pher kar
sabā kī adāoñ ko kyā ho gayā
tirī dil-navāzī kī kyā degā daad
palaT kar vo aayā nahīñ jo gayā
bata manzil-e-shauq kya ho gaya
meri koshishon ka sila kho gaya
hawadis ki aandhi hai zoron pe aaj
mera rahbar aaj kyon so gaya
na pand-o-nasihat na zauq-e-amal
ye shaiKH-o-barahman ko kya ho gaya
chaman se guzarti hai munh pher kar
saba ki adaon ko kya ho gaya
teri dil-nawazi ki kya dega dad
palaT kar wo aaya nahin jo gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.