bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya
bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya
Chhabi Saksena Sahai Saba
MORE BYChhabi Saksena Sahai Saba
batā roz-marra kī zindagī tū ne ye vafā kā sila diyā
mire saath jo bhī rifāqateñ thiiñ sabhī se parda haTā diyā
mujhe chheḌte haiñ vo bārhā jo kabhī baḌhāte the hausla
to maiñ kyā karūñ mujhe manziloñ ne hī rāste se haTā diyā
mire ham-navā mujhe aap se haiñ shikāyateñ bhī bahut sī ab
ki navāzishoñ ke uruuj pe kyoñ chaḌhā chaḌhā ke girā diyā
mujhe maat dete haiñ mustaqil mirī justujū ke ye qāfile
kabhī ruḳh havā kā jo saath thā usī moḌ pe hī jhukā diyā
mirī zindagī bhī tumhī se hai go karam bhī terā hai muḳhtasar
mere ġham kī dhuñd ko pyaar kā tū ne sahbā jo thā pilā diyā
'sabā' aaj bhī ye yaqīn hai jo baqā duā kī panāh meñ
mere rab ne juuñ mire āsmāñ ko zamīn par jo bichhā diyā
bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya
mere sath jo bhi rifaqaten thin sabhi se parda haTa diya
mujhe chheDte hain wo barha jo kabhi baDhate the hausla
to main kya karun mujhe manzilon ne hi raste se haTa diya
mere ham-nawa mujhe aap se hain shikayaten bhi bahut si ab
ki nawazishon ke uruj pe kyon chaDha chaDha ke gira diya
mujhe mat dete hain mustaqil meri justuju ke ye qafile
kabhi ruKH hawa ka jo sath tha usi moD pe hi jhuka diya
meri zindagi bhi tumhi se hai go karam bhi tera hai muKHtasar
mere gham ki dhund ko pyar ka tu ne sahba jo tha pila diya
'saba' aaj bhi ye yaqin hai jo baqa dua ki panah mein
mere rab ne jun mere aasman ko zamin par jo bichha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.