batā tū ai chaman laayā kahāñ se
tirī ḳhushbū to miltī hai fulāñ se
vo ik sūrat jo kal shab ḳhvāb meñ thī
yaqīnan hogī pariyoñ ke jahāñ se
vo kahtā hai ki taj de man kī ḳhvāhish
milan kaisā zamīñ kā āsmāñ se
mire chhe foot kā qad bhī haar baiThā
faqat do inch kī lambī zabāñ se
vahīñ aTkī huī hai saañs merī
kisī se rabt TuuTā thā jahāñ se
vo merī zindagī se yuuñ hī niklī
nikaltā tiir hai jaise kamāñ se
yaqīñ ko raah mil saktī hai sāhib
nikal jaa.e agar shak darmiyāñ se
bata tu ai chaman laya kahan se
teri KHushbu to milti hai fulan se
wo ek surat jo kal shab KHwab mein thi
yaqinan hogi pariyon ke jahan se
wo kahta hai ki taj de man ki KHwahish
milan kaisa zamin ka aasman se
mere chhe foot ka qad bhi haar baiTha
faqat do inch ki lambi zaban se
wahin aTki hui hai sans meri
kisi se rabt TuTa tha jahan se
wo meri zindagi se yun hi nikli
nikalta tir hai jaise kaman se
yaqin ko rah mil sakti hai sahib
nikal jae agar shak darmiyan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.