bata ye kaun si manzil hai ai umr-e-rawan mujhko
batā ye kaun sī manzil hai ai 'umr-e-ravāñ mujh ko
nazar aatā nahīñ ḳhud kā bhī ab saaya jahāñ mujh ko
ye hai 'azm-e-javāñ merā nasheman phir banā lūñgā
jalāne kā nahīñ ehsās ai barq-e-tapāñ mujh ko
bichhaḌ kar kārvāñ se maiñ bhaTaktā hī rahā har sū
nazar aa.ī na manzil aur na gard-e-kārvāñ mujh ko
masīhā zahr de de yā ilāj-e-dard-o-ġham kar de
kabhī lene na degā chain ye dard-e-nihāñ mujh ko
'azā.im le ke uThThā huuñ aTal mere irāde haiñ
kabhī nīchā dikhā saktā nahīñ tū āsmāñ mujh ko
jahāñ sharminda-e-ta.abīr hai fitrat zamāne kī
ḳhulūs-e-ādmiyyat 'rāz' laa.ī hai vahāñ mujh ko
bata ye kaun si manzil hai ai 'umr-e-rawan mujh ko
nazar aata nahin KHud ka bhi ab saya jahan mujh ko
ye hai 'azm-e-jawan mera nasheman phir bana lunga
jalane ka nahin ehsas ai barq-e-tapan mujh ko
bichhaD kar karwan se main bhaTakta hi raha har su
nazar aai na manzil aur na gard-e-karwan mujh ko
masiha zahr de de ya ilaj-e-dard-o-gham kar de
kabhi lene na dega chain ye dard-e-nihan mujh ko
'azaim le ke uThTha hun aTal mere irade hain
kabhi nicha dikha sakta nahin tu aasman mujh ko
jahan sharminda-e-tabir hai fitrat zamane ki
KHulus-e-admiyyat 'raaz' lai hai wahan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.