batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke
batā.e detī hai be-pūchhe raaz sab dil ke
nigāh-e-shauq kisī kī nigāh se mil ke
nikāle hausle maqtal meñ apne bismil ke
nisār teġh ke qurbān aise qātil ke
maiñ us pe sadqe jo jaa.e kisī kī yaad meñ jaañ
kisī ko chāhe maiñ qurbān jā.ūñ us dil ke
baḌī adāoñ se lī jaan apne kushte kī
hazār baar maiñ qurbān apne qātil ke
ġhubār-e-qais nahīñ hai to kaun hai lailā
koī to hai ki jo phirtā hai gird mahmil ke
vo phuuT bahne meñ mashshāq haiñ ye rone meñ
raheñge dab ke na āñkhoñ se aable dil ke
mahār-e-nāqa-e-lailā tū khīñch le ai aah
haTā de dast-e-talab baḌh ke parde mahmil ke
vo dil meñ haiñ magar āñkhoñ se duur haiñ 'bedam'
paḌā huā huuñ maiñ pyāsā qarīb sāhil ke
batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke
nigah-e-shauq kisi ki nigah se mil ke
nikale hausle maqtal mein apne bismil ke
nisar tegh ke qurban aise qatil ke
main us pe sadqe jo jae kisi ki yaad mein jaan
kisi ko chahe main qurban jaun us dil ke
baDi adaon se li jaan apne kushte ki
hazar bar main qurban apne qatil ke
ghubar-e-qais nahin hai to kaun hai laila
koi to hai ki jo phirta hai gird mahmil ke
wo phuT bahne mein mashshaq hain ye rone mein
rahenge dab ke na aankhon se aable dil ke
mahaar-e-naqa-e-laila tu khinch le ai aah
haTa de dast-e-talab baDh ke parde mahmil ke
wo dil mein hain magar aankhon se dur hain 'bedam'
paDa hua hun main pyasa qarib sahil ke
- Book : jigar parah armagaan bedam shaah (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.